Mera vyaktitva
Recent Entries
Sankalan
Path ke Pahchane
Credits
Friday, December 23, 2005
Nishaan
Samay ki geeli ret par ,
kuch padchinh chod aayi hoon.
chura to layi hoon kuch foolon se mahakte lamhe,
par ek khosboo fizaon mein chod aayi hoon.
is aas mein ki tum khoj lo mujhko, pahunch sako mujh tak,
kyonki,
main to apna astitva bhi,
peeche bahut peeche ,
un mukhote ki bheed mein chod aayi hoon.
apni soorat bhi yaad nahin, na baki hai koi nishan,
par fir bhi,
ye ummeed hai ki tum pahchan loge mujhe aur dho, ponch kar ,
us kone mein pade mere chehre ko la vapas doge aur mujhege, aur fir se kahoge, dekho, kaisa pakda?
tab tak prateeksha hi, niyati hai..
Posted by Neelima Arora :: 10:53 PM :: 0 Comments: ![]()
---------------------------------------