Mera vyaktitva
Recent Entries
Sankalan
Path ke Pahchane
Credits
Friday, December 09, 2005
Us lamhe ko dhoondhti...........
Jindagi se ek lamha churaya tha maine,
aankhon mein usko sajaya tha maine,
haath se vo fisal gaya ,
barf ki manind pighal gaya,
sarakti ret sa sarakta raha,
seene mein angare sa dahakta raha,
kabhi jugnoon ban ke chamka,
kabhi khushboo ban ke mahka,
vo lamha jo churaya tha maine,
aage aage raah dikhata sa chala,
peeche peeche gard udata sa chala,
vo lamha jo apna tha,
ya uneendi aankhon ka sapna tha
dhoondhti hoon us lamhe ko ...
Posted by Neelima Arora :: 2:30 AM :: 1 Comments: ![]()
---------------------------------------