Mera vyaktitva
Recent Entries
Sankalan
Path ke Pahchane
Credits
Tuesday, January 17, 2006
main fir chahkoonga..........
Main fir chahkoonga,
chidiyon ki tarah,
baanhe khol doonga,
jharte kohreke beech nachoonga,
thak kar choor ho jane tak,
vishvas hoon, tootunga nahin
yon sandharbho ke
kaat diye jaane se kya hota hai,
arth unka
mujh mein hi to jeeta hai
ki mein har tootan ke baad
rupayit kar leta hoon
apne aap ko fir se
mein to lahar hoon, chattano se takra ,
char char ho
ret par bikhar vileen ho jaana,
aant nahin
aarambh hai meri yaatra ka,
ki mera har samarpan
mujhe sarthak kar jaata hai
main fir dahkoonga
dhalte sooraj ki tarah, aur chodoonga apni rakthabha
lahro par , ped ki shakhon par
chattanon se nikal kar, bahte jharnon par,
ki meri aatma ka sangeet
ghar loutte pakshiyon ki marmarahat mein
visarjit ho, tirobhut ho jayega
kale padte jal ki gahraiyon mein
fir se utarne ke liye
( Suresh Rituparna)
Posted by Neelima Arora :: 1:01 AM :: 1 Comments: ![]()
---------------------------------------