Mera vyaktitva
Recent Entries
Sankalan
Path ke Pahchane
Credits
Wednesday, January 11, 2006
prayas....
Laharon se dar kar nouka paar nahi hoti,
koshish karne walo k kabhi haar nahin hoti
Nanhi chinti jab dana lekar chalti hai,
chadhti deewaron par sou bar isalti hai,
man ka vishvas rago mein sahas bharta hai
chadh kar girna gir kar chadhna na akharta ai,
mehanat uski har baar bekar nahin hoti.
Koshish karne walo ki abhi haar nahin hoti.
dubkiyan sindhu mein gotakhor lagata hai,
ja ja kar khali haath lout kar aata hai
milte na sahaj hi moti gahre pani ein
badhta doona vishvas isi hairani ein,
mutthi khali uski har baar nahin hoti
koshish karne walo ki kabhi haar nahin hoti
asafalta ek chunoti hai, sweekar karo,
kya kami rah gayi, dekho aur sweekar karo
jab tak na saal ho neend chain ki tyago tum,
sangharshon ka maidan chod mat bhago tum,
kuch kiye bina hi jayajayakar nahi hoti
kohish karne walo ki kabhi haar nahin hoti
(Late Shri. HarivanshRai Bachchan)