Mera vyaktitva
Recent Entries
Sankalan
Path ke Pahchane
Credits
Monday, February 06, 2006
Chup...
Chup si lagi hai
andar jor,
ek aawaj dabi hai,
vah dabi cheekh niklegi kab?
jindagi aakhir shuru hogi kab?
aakhir kab?
khule man se hansi kab aayegi?
is dil mein khusi kab khilkhilayegi?
barso is jaal mein bandhi
pyas abhi bhi hai, apne path par chali jaoongi
aas abhi bhi hai, par intejaar mein
dil dheere dhere marta hai
dheere dheere pista hai man, shesh kya rahta hai?
dar hai, ek din, yeh dheeraj na choot jaye
roko na mujhe , kahin ye jwalamukhi na foot jaye
vah foota to
is shri srijan ko kaise bachaoongi
vishva mein matra ek
kissa ban rah jaoongi
samay ki gahraiyon mein kho jaoongi.
( a poem by Neelkamal)
Posted by Neelima Arora :: 11:24 PM :: 2 Comments: ![]()
---------------------------------------