Mera vyaktitva
Recent Entries
Sankalan
Path ke Pahchane
Credits
Saturday, March 11, 2006
Surajmukhi, pahchano svayam ko
O Surajmukhi,
tumhe dekh aksar
sochne par vivash ho jaati hoon.
Ki kyon tum apne poorna vaibhav main khil kar bhi,
ek suraj ka mukh takte ho,
aur mod lete ho apni dish
har badalti hui soraj ki disha ke saath.
Jab ki tum bhi jaante ho,
na vo rookega,
thamega,
na hi chodega apna ye roj ugane aur doobne ka niyam,
yoon hi ghumata rahega tumhe
is disha se us disha ke chor tak
ek vikshipt ki tarah,
pranaya ka pralobhan diye.
tum ek baar apne bheetar ke prakash ko pahchan
svayam ke liye vihason to,
main tumhara sooraj ban jaoongi,
main jo tumhari nishta,,
tumhri saadhna,
tumhari prerna hoon,
tumhe adig rahne ka marg batlaoongi,
aur ye bhi na kar pao to
apne surya ko uga kar dekho.
Tumhare is vishvas ka prakash kya kam hai
ki tumhe kisi surya ki aur
ujale ki bheekh ke liye jholi failani pade.Pahchano svayam ko,
aur is udhaar ki disha se dwigbhramit hone ko chod,
us paraye surya se mukh mod
apni ek disha chuno
(Neelima Arora)
Posted by Neelima Arora :: 2:46 AM :: 9 Comments: ![]()
---------------------------------------