Mera vyaktitva
Recent Entries
Sankalan
Path ke Pahchane
Credits
Tuesday, June 27, 2006
Meel ke pathar
jeevan ki raahon mein,
gati pakadte hue,
apne gantavya tak pahunchne ki ,
utkantha mein,
hum bisra dete hain bahut se log,
kuch pahchane, kuch anjane ,
aur andekha kar dete hain,
un drishyon ko ,
jo aankho ke pat par aa khulte hain,
ek natkiyata ke saath.
aur vo chaanv bhi kahan yaad rah paati hai,
jahan rook kar dam lene ko man chaha tha.......
dikhti hai to bas sooni na khatam hone wali sadak...
jo kabhi seedhi, to kabhi ghumavdaar,
kabhi choti choti pagdandiyon mein bant jaati hai...
bina disha nirdhark sanketo ke, jahan aap dhoondhte rah jate hai kuch landmarks,
ya poochte hain, ajnabiyon se apni hi manjil ka raasta.
par itne anubhavo se do chaarr hone ke baad bhi
bas yaad rahte hai to mile ke pathar........
Posted by Neelima Arora :: 4:08 AM :: 2 Comments: ![]()
---------------------------------------