Mera vyaktitva
Recent Entries
Sankalan
Path ke Pahchane
Credits
Friday, June 30, 2006
Was arranging and dusting my books , jo mahine se na chue jane se gard chat rahi thi, , these lines of Gulzar made me smile.
"kitabein jhankti hain band almaari kay sheeshon se
bari hasrat se takti hain
maheenoo ab mulaaqat nahi hoti
jo shamein in ki sohbat main kata karti thein,
ab aksar guzar jaati hain computer kay pardon par
badi bachain rahti hian kitabein
zaban par zaiqa aata tha jo in safhe (page) palatne ka
ab ungli click karne se bas
ik jhapki guzarti hai
buhat kuch tah ba tah khulta chala jaata hai parde par
kitabon se jo zaati rabta tha kat gaya hai
kabhi seeny pe rakh ke lait jaate the
kabhi godi main rakhte thay
kabhi ghutno ko apne rahal ki soorat bana kar
neem sajday main padha karte the,choote the jabhee se
khuda ne chaha to wo sara ilm to milta rahega baad main bhi
magar who jo kitabon main mila karte thay sookhay phool
kitabein mangne,girnay,uthane kay bahane rishty bante the
unka kya hoga
wo shayad ab nahi honge!"
(Gulzar)
Posted by Neelima Arora :: 10:29 PM :: 3 Comments: ![]()
---------------------------------------