Mera vyaktitva
Recent Entries
Sankalan
Path ke Pahchane
Credits
Tuesday, July 04, 2006
Ek aasha
Aastha ki deewarein charmarane mat dena,
Maathe pe koi shikan kabhi aane mat dena,
Vartmaan mein jo andhera ug aaya hai,
Usmein aasha ki ek kiran to hai,
Jo sambhal paye meri lahuluhan aatma ko,
aisa ek bandhan to hai
Varna koun jane kya chipa tha bhavishya ke garbha mein,
amrit tha ya tha halahal,
koun kya kahe is sandarbh mein,
pana ya khona, ye kab manuj ke haath mein hai,
sukh pane mein nahin prapti ki aas mein hai.
In ashruo ko dekh tum kyon neer bahate ho?
Dekhna,
is dard ki banjar dhara ke sakhth dharatal ko parajit kar
hansi ka ek phool ugega,
band hue hain jo dwar anginat,
ek naya dwar bhi khulega.
(Neelima Arora)
Posted by Neelima Arora :: 12:36 AM :: 4 Comments: ![]()
---------------------------------------