Mera vyaktitva
Recent Entries
Sankalan
Path ke Pahchane
Credits
Friday, August 11, 2006
ek virodhabhas
Today , I wrote my exam, may be the last academic exam for an official degree.I was very nervous as I could not prepare any thing , blame it to my negligience, lack of planning or sudden trip to Delhi. was just wondering what I am going to write but you came to rescue.......exam mera tha pariksha tumhari ho rahi thi......
Exam hall tak ka safar, kuch kuch sahmi si main, tabhi vohi elderly lady dikhi, parso ke exam mein jo 5 minute extra le gayi thi, exam hall ki sust ghadi bana kar.Unka parichay poocha, jan kar accha laga ki aaj 30 saal baad vo ph.d kar rahi hai, mera sar jhuk gaya un ke samne, itni lagan , itna prem shiksha se. aur poochne par jana ki vo adhyapika hai, ek prathishit college main. achcha laga aur bhi ki jis mein shiksha ka itna anurag ho, vohi to kisi ko prerit kar sakta hai, bilkul sahi vyakti shikshak hone ke liye.......
bhram toota......
kuch der baad pariksha shuru hone par aaram se purse se ek parcha nikala aur likhna shuru....mere unhein ghoorne ka bhi kuch asar nahin, itne nishchint bhav se vo nakal karne mein magan thi ki kya kahiye.
ek shikshika .........
kya yahi rah gaya hai shiksha ka aadarsh?
ye upadhi ka moh kya aapko apne siddhanto se girane ke liye kafi hai....
kya vo apne bachcho ya kahiye ki apne vidhyarthiyon ko koi aadarshon ki dharohar payengi.......
tab bhi sar jhuka tha mera, ab fir se jhugk gaya par is baar shraddha se nahin sharma se.............ab fir se vahi baat.........kya ye hain bilkul sahi vyakti shikshak hone ke liye?
Posted by Neelima Arora :: 5:34 AM :: 1 Comments: ![]()
---------------------------------------