Mera vyaktitva
Recent Entries
Sankalan
Path ke Pahchane
Credits
Saturday, September 09, 2006
Aaj choudas ka chaand nikalne wala hai,
Vo bihaega apni chandni is dharti par.
aaj ki raat khali nahin hogi, bikharenge is dhara par chandni ke moti,
har hriday mein umango ko bhar degi ye chandni,
kintu
phir bhi main akeli hongi,
mera hriday phir bhi rikt hoga, shunya mein khojta koi satya,
meri apoorna ki smarak nahin ban payegi,
ye ujjavala, dhavela, sheta.
nahin degi vo shhetalta mee hriday ko, vo bhi lagegi mujhe ,
jindagi ki pathrili raho mein dhoop ke samaksh.
jismein tap kar shayad
main bhi ho chuki hoon,
unhi raahon ki tarah .
jo deti hain, pathrilapan aur hridyaheenta
kho jata hai vyakti ka vastavik vyaktitva,
kho jata hai uska astitva.
(read long back)
Posted by Neelima Arora :: 6:44 AM :: 0 Comments: ![]()
---------------------------------------