Mera vyaktitva
Recent Entries
Sankalan
Path ke Pahchane
Credits
Friday, March 16, 2007
kabhi tum bhi kaho kuch
Kabhi tum bhi kaho kuch,
sannato ki juban mein,
ye aawajein chubhti hain
kaan ke parde tak aa kar
thahar jaati hain
aur ek shor ki shakl mein tabdeel ho jati hain
us shor mein jiska koi na matlab hota hai na falsafa
hota hai to bas abstract sa ek aabhas,
jo aur bhi uljha deta hai is uljhe man ko
sargoshiyan, cheekhein, hansi,
kisi mein antar nahin rahta,
in aawajo ki bheed mein.
tum hi kaho kuch sannato ki juban mein
(written few days back when I was getting irritated at the slightest sound, locking myself in the room in depression . Now when this phase is over, this is my way of apologising to those who tolerated my anger without complaining)
Posted by Neelima Arora :: 3:17 AM :: 0 Comments: ![]()
---------------------------------------